Pages

Saturday 11 June 2011

A Ghazal by Indira Varma

10 6 2011
 
Tere naam kya mai'n karu'n sanam, mera naam bhi terey naam hai
Jo dharktey dil ka payam hai, wo payam bhi terey naam hai

Mai'n aseer-e-dil, tu safeer-e-ja'n, tera aana jana hai be-nisha'n
Mera reh-guzar pay qayam hai, ye qayam bhi terey naam hai

Mujhey manzilo'n say gharaz nahi, mujhey simt ka bhi pata nahi
Mera raasta terey naam hai, mera gaam bhi terey naam hai

Meri kaynaat ka her aik pal, terey wasty waqf hai aajkal
Meri sub-ha bhi terey naam hai, meri shaam bhi terey naam hai

Terey ishq nay wo diye hai'n ghum, ke mili bulandi qadam qadam
Ye urooj bhi terey naam hai, ye muqam bhi terey naam hai

Wo jo hichki aaee thi maut ki, ye bata gaee ye dikha gaee
hai salam lab pay jo aakhri, wo salam bhi terey naam hai

Tu bayaz-e-INDIRA dekh le, tera naam aaya nahi magar
Ye kitab bhi terey naam hai, ye kalam bhi terey naam hai

No comments:

Post a Comment