Tuesday, 3 September 2013

Pages from Mamu's Autograph Book, circa 1947

Flipping through the pages of my Mamu's ancient, somewhat battered Autograph Book (Mamu is Masha Allah close to 75 years of age), I came across this little nugget by Sahir Ludhianvi, written in his own hand:

Hameen se rang-e-gulistan, hameen se rang-e-bahar
Hameen ko nazm-e-gulistan pe ikhtiyar nahiin


 

Btw, Mamu's Autograph Book contains gems from some of the greatest writers, thinkers, poets, teachers of his times including the one much-quoted one by Zakir sahib, 'Jo kaam karo dil laga kar karo; agar woh iss qabil hai ke kiya jaye to iss qabil bhi hai ke dil laga ke kiya jaye.'



Here's another gem from Mamu's Autograph Book; this one is by his own father, Ale Ahmad Suroor and is dated October 1947:

Kaash tumhe hum se achcha zamana mile aur uss zamane ke badalne mein tumhara bhi hissa ho. Mulk aur qaum se mutalba kum karo; usse do bahut kuchch. Yeh baat mushkil hai magar badi baat hai.

And another treasure, a sher by his father Ale Ahmad Suroor:

Har ek jannat ke raste ho ke dozakh se nikalte hain
Unnhi ka haq hai phoolon pe jo angaron pe chalte hain


Haqayaq unn se takra kar naye pahloo badalte hain
Bade hii sakht jaan hote hain jo khwaabon pe palte hain

4 comments:

  1. Waaqayi yeh duniya bahut hi chhoti hai jaise keh Angrezi mein kaha karte hain!

    Rakhshanda Saahiba ke baarey is se pahle kuchh maaloomaat naheen thi so jab unki baatein mujh aam aadmi ko Muhtarana Dr. Frances W Pritchett Saahiba ne USA se bataaein tab Dilli mein mere karamfarma buzurg aur Ustad e Uruzi Dr. Kamaal Ahmad Siddiqi Saahab ki telephone ki ghanti bajaakar poochha keh in Saahiba ke ism e giraami aur shakhsiyyat se aapko aashnaai hai? Ab apne Ustad e za'eef ul umr ki yaad daasht pehli si naheen rahi, phir bhi unhone farmaaya keh "Dekho mere Bangali barkhurdaar, yeh naam mere azeez Dr. Aal e Ahmad Saahab 'Suroor' se zaroor koi waasta rakhta hai. Kaheen yeh unki nawaasi tau naheen? Yeh maaloom karo!"

    And its amazing that Rakhshanda is, a grand daughter of Late Aal e Ahmad Suroor, a doyen in Urdu literature and ex VC of Sher e Kashmir University Shri Nagar!

    Aapke Maamoon Hazarat ke us autograph ki diary mein Abdulhayyi Ahmad Saahir Ludhianvi ka bait aur unka zikr aaya hai.

    Aaplog ahl e shuhrat log hain. Aapki baatein bar sar e aam aati hain aur parhi jaati hain. Main aam aadmi hoon jiski koi shuhrat ya taaroof pehchaan naheen! Main kis moonh se apne college ke zamaane ki yaadein yahaan qalam band karoon? Kaun meri baton par yaqeen karega? 1972 mein Daanishgaah e Kalkatta ka maahaul ishteraaqi sargarmiyon se itna bigra keh CPI- ML waalon se jaan bachakar St. Xavier's college ke B. Com 1st year ki taaleem adhoori chhora kar Sydenham College of Commerce & Economics, Churchgate, Bombay mein daakhila lekar B.Com ki dobaara taaleem shuru ki. College mein Anjuman e Urdu se waasta hua. Usmnein English language ki mudarrisa, humesha mutabassim chehre waali Zebunnisa Qaazi Saahiba sadr thein. Urdu ki buniyaad 1968 mein Kalkatta University ke Urdu mudarris Dr. Shanti Ranjan Bhattacharya ke haathon dali thi, magar Bombay mein Zebunnisa Qaazi Saahiba ne is shauq o zauq ke parwaan charhne ka saaz o saamaan nuhayya farmaaya. Phir uske baad Sophia College ke Reader Dr. Faseeh Ahmad Siddiqi Saahab se waasta hua. Aur unke tawassut se Saahir Ludhianvi Saahab se aashnaai hui!

    Hindostan bahut badnseeb mulk hai keh 200 saal Angrezon ki ghulaami sahne ke baad jab usko aazaadi naseeb hui tab uske seeney ko cheer kar mahaz mahzab jaisi be buniyaad cheez par uske sadiyon se Ganga Jamani tahzeeb mein dhaley logon ko, jinki baahami muhabbat mazhabi farq ko kuchh bhi na jaankar jinko bhaai se bhaai ki tarah, baandhe huey rehti thi, wahi nafrat mein tabdeel hokar eik doosrey ka bharosa tabaah karke unko apne ghar baar se ukhaar kar pardesi ban jaane par majboor kar gayi! Baqaul e Shabbeer Hassan Josh Malihabadi Saahab ~ "Sikh ne Guru ke naam ko batta lagaa diya! Mandir ko birahman ki chalan ne gira diya! Masjid ko sheikh ji ki karaamat ne dhaa diya! Majnoon ne barh ke parda e mahmil utha diya! Ik su e zan ko ghulghula e aam kar diya! Mariyam ko khud Maseeh ne badnaam kar diya!"

    Continued...

    ReplyDelete
    Replies

    1. This web side royeche ten naked abaido yauna transmitted video cie इस वेब साइड royeche दस नग्न abaido yauna प्रेषित वीडियो सीआईई




      1 / Calcutta, father and their baby daughter yauna transmitted daughter's stomach, police grepatarera = 1 on the vedio Images Vedio छवियाँ पर 1 / कोलकाता, पिता और उनके बच्चे बेटी प्रेषित yauna बेटी के पेट, पुलिस grepatarera =1




      2/ naika sabanura hotel intercourse with her boyfriend on the real = two vedio वास्तविक = दो vedio पर उसके प्रेमी के साथ रे / naika sabanura होटल संभोग




      3 / aunt nephew with the sexually transmitted real = 5 vedio image / यौन साथ 3 / चाची भतीजे वास्तविक = 5 vedio छवि को प्रेषित .Disclosure




      4 / mother and son killed parents on jauno obstructs Milne parents. And the mother's sexual intercourse = 3 vedio. Issued 4 / माँ और बेटे jauno पर माता-पिता मिल्ने माता-पिता भी नुकसान पहुँचा मार डाला। और माँ का संभोग 3 vedio =। जारी



      5 / dulabhai salike wanted to force the video clip had been forced to repeatedly salike = 6 vedio. Issued 5 / dulabhai salike वीडियो क्लिप को बार-बार salike = 6 vedio करने के लिए मजबूर किया गया था के लिए मजबूर करना चाहता था। जारी




      6 / praibeta master daughter sexually transmitted = 1 vedio. Issued 6 / praibeta मास्टर बेटी का यौन। = 1 vedio प्रेषित जारी। phone sex 6 hours 40 tk =01916966365




      7 / big brother's wife wanted video jimmikare repeatedly forced sexual intercourse = 8 vedio. Issued 7 / बड़े भाई की पत्नी के वीडियो jimmikare बार-बार संभोग = 8 vedio मजबूर करना चाहता था। जारी




      8 / younger man to take the water to the hotel codarapara = two vedio sister होटल codarapara करने के लिए पानी लेने के लिए 8 / छोटे आदमी = माँ पर दो vedio बहन ।




      9 / Mama told her bhagnike Thailand engaged in the business of the body of his uncle filed bhagni = 10 vedio business man on the body of his niece 9 / माँ थाईलैंड उनके चाचा के शरीर के कारोबार में लगे bhagnike उसे बताया कि उसकी भतीजी के शरीर पर bhagni = 10 vedio व्यापार आदमी दायर।




      10 / maternal sister to marry the rape failing mamike three Bandeau vedio prakasa = 4 vedio sister 10 / मातृ बहन mamike तीन Bandeau vedio Prakasa = 4 vedio प्रेषित जारी

      Delete
  2. Musalsal....

    Magar ulti ganga humaisha behti rahi hai aur bahegi bhi! Maghrabi Punjab aur Mashriqi Bangal mein Muslim aksariyyat ki bina par Pakistan ka qayaam hua. Mashriqi Punjab ke Musalmaan Maghrabi Punjab mein jaa kar panaahguzeen huye!

    Par Lahore mein Taraqqi Pasand Tehreek ke daftar mein sahaafi ki naukri karne waale Ludhiana ke Abdul Hayyi Saahab ki apne senior Janab Charaagh Hassan Hasrat Saahab se kaisi bigri keh aapne apni waalida saahiba aur eik chhotey bhai ko lekar Bombay us waqt aa gaye jab mulk bat chuka tha aur unke dost Saadat Hassan Manto Saahab usi Bombay ko chhorkar Lahore jaane ki taiyyari mein lage huye the!

    Saahir Saahab se 1972 se 1975 (B.Com ki takmeel aur mere Bombay mein thaharne ki muddat)tak Dr. Faseeh Ahmad Siddiqi ke tawassut se awwal aur phir baghair tawssut o takalluf ke baad mein acchhi khaasi dosti ban gayi thi. Unhone apne dastkhat aur ash'aar ke saath Star Pocket Books Dilli se chhapi Talkhiyaan ka nuskha mujh ghareeb ul watan Bangali ko bataur muhabbat bakhsha tha. Ghar par pardey ki paabandi ki wajah se har juma'raat ko Shah Makhdoom Mahaayami ki dargaah ke nazdeeq Mahim Chowk par Dilruba Restaurant mein hum jaise talabaa aur deegar ahbaab se milte the aur musalsal chaai aur pakoron ka garaan bill bhi apni taraf se adaa farmaate the! Kissey di majaal nei si keh onnaan de baghair chaa da paisa hotal waaley nu de dawey! Kabhi saaf Punjabi mein sufiyaana Kaafiyaan tau kabhi ghazab ke roa'beele andaaz mein "Ae rahbar e mulk o qaum bataa..." hum khush naseebon ko unke ru baru baith kar sun ne ko milte the. Restaurant ke maalik ne humlogon ki nashist ke waastey aik alaahida hissa lakdi ka partition dalwaakar makhsoos rakha tha keh ghair mashrab log aakar maza barbaad na karein!

    Barson baad Dilli mein CA ke final imtahaan ke dauraan Fasih Ahmad Siddiqi saahab ne dilshikan khabar phone par di thi! "Saada veer saanu chhadd ke chal ditta Bangaaliye! Hunn tun vi ro lae!" Musalsal sharaabnoshi aur laparwaahi e khuraaq ne lever cirrhosis ko panapne diya aur buhat qaleel umr kar ke Hindostan ka Majaaz e Saani (yaane doosra Asraar Ul Haq) rooth kar is be waqoof mulk se moonh pher kar chala gaya!

    Main aaj apni 56 saala umr mein apni guzri hui jawaani ke who din yaad karke chup chaap rota hoon!

    ReplyDelete
  3. Mazkoora mudarrisa Zebunnisa Qaazi Saahiba, jinki sharaafat aur ghair mazhabi tabiyyat par aaj bhi halaf uthata hoon, wahi badnaseeb khaatoon hain jinko MACOCA ke tahat inteha pasandon ko madad faraaham karne ki jhoothi shikaayat aur ilzaam par Bombay High Court ne ume qaid ki sakht saza sunaai hai! Unko uterine cancer hai aur jail naheen hospital mein baaqi din kaatne chaahiye hain!

    Shame on you Alumni of Sydenham College Bombay, that you failed to raise a campaign in her favour and have let her rot in incarceration for the rest of her unfortunate days. She must be in her 80s now! I an aam aadmi of this decaying nation have naught but to curse its hopeless days!

    ReplyDelete