Tuesday 18 December 2012

A nazm by my grandfather, Ale Ahmad suroor

Kal Aur Aaj

Vo Bhii Kyaa Log The Aasaan Thii Raahen Jin Ki
Band Aankhen Kiye Ik Simt Chale Jaate The
Aql-o-Dil Khvaab-o-Haqiqat Ki Na Uljhan Na Khalish
Mukhtalif Jalve Nigaahon Ko Na Bahlaate The


Ishq Saada Bhi Tha Bekhud Bhi Junuun_Pesha Bhi
Husn Ko Apani Adaaon Pe Hijaab Aata Tha
Phul Khilte The To Phulon Men Nasha Hota Tha
Raat Dhalti Thi To Shishon Pe Shabaab Aata Tha


Chaandani Kaif_Asar Ruuh_Afza Hoti Thi
Abr Aataa Tha To Badmast Bhi Ho Jaate The
Din Men Shorish Bhi Hua Karati Thi Hangame Bhi
Raat Ki Godh Men Muu Dhaanp Ke So Jaate The


Narm Rau Waqt Ke Dhaare Pe Safine The Ravaan
Saahil-o-Bahr Ke Aa_Iin Na Badalte The Kabhi
Nakhudaon Pe Bharosa Tha Muqaddar Pe Yaqin
Chaadar-e-Aab Se Tufaan Na Ubalte The Kabhi


Ham Ke Tufaanon Ke Paale Bhi Sataaye Bhi Hain
Barq-o-Baaraan Me Vo Hi Shamen Jalaayen Kaise
Ye Jo Aatish_Kadaa Duniyaa Me Bhadak Uttha Hai
Aansuon Se Use Har Baar Bujhaayen Kaise


Kar Diyaa Barq-o-Bukhaaraat Ne Mahshar Barpa
Apne Daftar Men Litaafat Ke Siva Kuch Bhi Nahin
Ghir Gaye Waqt Ki Beraham Kashakash Men Magar
Paas Tahazib Ki Daulat Ke Siva Kuch Bhi Nahin


Ye Andhera Ye Talaatum Ye Havaaon Ka Kharosh
Is Men Taaron Ki Subuk Narm Ziyaa Kya Karti
Talkhi-e-Zeest Se Kadva Hua Aashiq Ka Mizaaj
Nigaaah-e-Yaar Ki Maasuum Ada Kya Karti


Safar Aasaan Tha To Manzil Bhi Badi Raushan Thi
Aaj Kis Darjaa Pur Asrar Hain Raahen Apni
Kitani Parchhaiyaan Aati Hain Tajalli Ban Kar
Kitne Jalvon Se Ulajhti Hain Nigahen Apni

1 comment:

  1. Hi. Could you share with us the English translation too, for us readers who are ill-versed in Urdu? This feels to me to be a very beautiful piece. Thanks

    ReplyDelete