Flipping through the pages of my Mamu's ancient, somewhat battered Autograph Book (Mamu is Masha Allah close to 75 years of age), I came across this little nugget by Sahir Ludhianvi, written in his own hand:
Hameen se rang-e-gulistan, hameen se rang-e-bahar
Hameen ko nazm-e-gulistan pe ikhtiyar nahiin
Btw, Mamu's Autograph Book contains gems from some of the greatest writers, thinkers, poets, teachers of his times including the one much-quoted one by Zakir sahib, 'Jo kaam karo dil laga kar karo; agar woh iss qabil hai ke kiya jaye to iss qabil bhi hai ke dil laga ke kiya jaye.'
Here's another gem from Mamu's Autograph Book; this one is by his own father, Ale Ahmad Suroor and is dated October 1947:
Kaash tumhe hum se achcha zamana mile aur uss zamane ke badalne mein tumhara bhi hissa ho. Mulk aur qaum se mutalba kum karo; usse do bahut kuchch. Yeh baat mushkil hai magar badi baat hai.
And another treasure, a sher by his father Ale Ahmad Suroor:
Har ek jannat ke raste ho ke dozakh se nikalte hain
Unnhi ka haq hai phoolon pe jo angaron pe chalte hain
Haqayaq unn se takra kar naye pahloo badalte hain
Bade hii sakht jaan hote hain jo khwaabon pe palte hain